Mere Raghav ji utrenge paar Ganga maiyya dheere baho Dheere baho dheere baho haule baho Mere Raghavji……. Aaj safal hue nain humare Prabhuji viraaje hain naav humare Ye to jag ke paalanhaar Ganga Maiyya dheere chalo Mere Raghavji……. Bhav sarita se khevan haare aaj humare naav padhaare Ye to Dashrath rajkumar Ganga Maiyya dheere baho…
Tag: राम
Kevat Prasang
Ramayan mein Ayodhya kaand ke ant mein Shri Ram Ji van gamaan prasang aata hai. Prabhu Shri Ram apne anuj Lakshman tatha patni Jaanki ji ke saath van ko prasthaan kartein hain. Shrinberpur ke baad unhe Ganga paar jaana tha, isliye unhone Ganga kinaare khade ek naavik se kaha, “Bhaiya, hamein us paar jaana hai,…
Hanuman Ji ka sindoor prem
Hanuman Ji ka sindoor prem Ek baar Hanuman Ji Prabhu Shree Ram ji se milne unke mehel mein gaye. Mehel mein us waqt prabhu shree Ram nahi the,aur maata Jaanki ji apna shringaar kar rahin thi. Jab Hanuman ji wohan pahuche, tab maata apni maang mein sindoor laga rahin thi. Aisa karte dekh, Hanuman ne…
Hanuman Ji ke vaanar mukh ka rahasya
Shree Ram ji ne ek din Hanuman ji se prasann hokar kaha, “Hanuman tumne vaanar ka shareer hi kyun meri seva ke liye chuna?” Ispar Hanuman ji ne kaha , ” Prabhu, aapne Naarad ji ko vaanar mukh dekar bhav bandhan se ubaara tha , isliye meine socha yadi mein khud vaanar ban jaonga ,…
Ath Ram Stuti (From Ramayan)
Shri Ram Chandra kripalu bhajman haran bhav bhay daarunam Navkanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjaarunam Kandarp aganit amit chhavi nav neel neeraj sundaram Pat peet maanahu tarit ruchi suchi naumi Janak sutaavaram Bhaju deen bandhu dinesh daanav daitya vansh nikandanam Raghunand anand kand kaushal chand Dashrath nandanam Sir mukut kundal tilak chaaru udaar…
ShriRam Jee Ki Stuti (From Ramayana)
Neelaambuj Shyamal Komalaang Sitaa Samaaropit Baam Bhaagam Paanow Mahaa Saayak Chaaru Chaapam Namaami Raamam Raghuvanch Naatham (Neelvarn Saavwale Komal, Jinke Baayen ang me Sita ji Viraajti hain, Jinke hast me dhanush baan sushobhit hain aise Prabhu shree Ram ji, jo Raghuvansh ke naath hain, unko mai naman karti hun) नील…
Shabri Prasang
Sarsij Lochan Baahu Visaala Jataa Mukut Sir Ur BanmaalaShyaamal Gaur Badan Dou Bhai Shabri Charan Dhari Laptai Shabri ek bheelni (hunter) jaati ki stree thi. Unke Pita ne unke vivaah ke samay kayi jaanvaron ka shikaar kiya taaki bhojan me use parosaa jaye par ye dekhke Shabri, jo bachpan se hi pashu vadh ke khilaaf…
Ram ji ki shaadi
Jab Raamji shaadi karke aate to unki maa-Kaushalya mata Ram ji se unke vivah ke vishay me poochhti hain… Naina bhari dekh lun byah prabhu toor Aaj pural manorath mor Kinka haath nariyal kinka dubi-dhan Kinka haath bataawar paan Saasu hath nariyal sarhaj dubii dhan Saali hath batawar paan