Sarsij Lochan Baahu Visaala Jataa Mukut Sir Ur BanmaalaShyaamal Gaur Badan Dou Bhai Shabri Charan Dhari Laptai
Shabri ek bheelni (hunter) jaati ki stree thi. Unke Pita ne unke vivaah ke samay kayi jaanvaron ka shikaar kiya taaki bhojan me use parosaa jaye par ye dekhke Shabri, jo bachpan se hi pashu vadh ke khilaaf thin aur saatvik vichaaron ki thi, ko accha nahi lagaa aur unhone apna ghar tyag diya. Tab jungle me bhatakte hue unhe Matang Rishi ke ashram, jo pampa nadi ke kinaare sthit tha, me sharan mili jahan vo Rishiyon ki seva aur ashram ke kaam kartin aur Prabhu ka dhyaan kartin.
Marne se pehle Matang Rishi ne Shabriji ko ye kaha ki vo to itne punyatma nahi ki Bhagwan Shree Ram se mil paen par Shabri ki kutiya me Bhagwaan Shri Ram, anuj Lakshman sahit, apni bhaarya Sita ki khoj me avashya ayenge aur unhe darshan denge. Bohot saal tak Shabri unke intezaar me roz apni kutiya ko saaf karti, van se ber todke laati aur unhe chakhke meethe beron ko ek done me sajake rakhtin taaki Bhagwan ko koi bhi khatta ber na mile. Vo Kutiya ke maarg ko foolon se sajati aur matke me shudh jal bharke prabhu ke aane ki prateeksha kartin.
Saalon tak intezaar karne ke baad vo din aya jabb Shri Ram aur Lakshman Shabri ki kutiya me padhaare. Unhe dekh Shabri ki khushi ki seema na rahi aur vo bhaav vihval ho uthin, Unhone Prabhu ke charnon ko bade hi prem bhav se dhoya aur ekatrit kiye beron ko ek ek kar chakhe Prabhu ko khilaane lagin. Praabhu ko prem magn hue Shabri ke joothe ber khaate dekh Lakshman ji ko ashcharya hua aur bura bhi lagaa aur unhone vo ber nahi khaye. Tab Ramji ne unhe samjhaaya ki Shabri ka aisa karna unki shraadha aur prem ko dikhata hai.
Prabhu Shri Ram ko bhog lagaane ke baad Shabri ne Ramji se poocha ki Prabhu, mai to karm se, jaati se aur Naari hone ke kaaran adham hun, fir aise mere kaun se pichle janmon ke karm the jo apne mujhe darshan diye Prabhu. Tab Prabhu Shri Ram ne kaha ki mai Jaat Paat in sab se upar ek Bhakt ki Navdhabhakti dekhta hun: Shravan, Kirtan, Smaran, Vandan, Paadsevan, Archan, Daas, Sakha tatha Aatmanivedan. Inme se ek bhi prakaar ki bhakti kisi manushya me ho to mai uska ho jata hun. Fir tumme to nau ke nau bhaktiyan vidyamaan hain.
Prabhu ne Shabri se aise vachan kehkar fir apni Bhaarya Sitaa tak pohochne ke liye unse maarg poochha, tab Shabri ne unhe Vaanar Raaj Sugriv ke baare me bataya jo apne saathiyon ke saath Sita ji ki khoj me unki madad kar sakenge. Ye sunkar Prabhu Shri Ram aur Lakshman Sugriv ki khoj me aage badh gaye.
Mere ghar Ram ayihain na
Mere Prabhu Ram ayijhain na
Ram ayihain na sang me
Lakshman Bhaiyya ayihain na
Sita Maiyya ayihain na
Mere Prabhu Ram ayihain na
Shabri ke ber sudaama ke tandul
ruchi ruchi bhog lagayihain na