Hanuman Ji ka sindoor prem
Ek baar Hanuman Ji Prabhu Shree Ram ji se milne unke mehel mein gaye. Mehel mein us waqt prabhu shree Ram nahi the,aur maata Jaanki ji apna shringaar kar rahin thi. Jab Hanuman ji wohan pahuche, tab maata apni maang mein sindoor laga rahin thi. Aisa karte dekh, Hanuman ne kautuhal vash hokar, Maata se poocha, “Maata, ye aapne apne maathe par laal rang kyun lagaya hai?” Maata ne haste hue kaha, “Hanuman, ye laal rang nahi , sindoor hai. Ise lagane se prabhu ati prasann hote hain.”
Aisa uttar paakar , Hanuman man hi man sochne lage ki maa ke thoda hi sindoor lagane par prabhu prasann ho jaate hain, yedi mein poore shareer mein sindoor laga loon, to prabhu mujhpar atyant prasann ho jaenge. Aisa vichar kar, Hanuman wohan se chale gaye.
Doosre din, poore shareer mein , sindoor lagakar, Hanuman prabhu se milne pahuche. Hanuman ji ko laal rang mein ranga hua dekhkar, Ram ji ne aashcharya chakit hokar unse poocha, ” Hanuman,tum ye laal rang mein kyun range hue ho?”
Hanuman ji ne kaha,” Hey Prabhu, ye meine aapko prasann karne ke liye kiya hai.”
Aisa sun kar prabhu ne poocha, ” Ye laal rang mein kya khaas baat hai? “
Hanuman ji ne prafullit ho kar prabhu se kaha,” Maata thoda sa sindoor sir par lagatin hain, to aap unpar prasann ho jaate hain , islye meine socha ki poore shareer par yadi mein laal sindoor laga loon to aap mujhpar kitna prasann ho jaenge.”
Yeh sunkar prabhu ko hasi aagayi, aur unhone Hanuman ji ko vardaan diya, ” aaj se jo bhakt, tumhe sindoor chadhayenge, wo tumhare saath saath, meri bhi vishesh kripa paayenge”
——————–
Please find Hanuman Chalisa link here : https://anandakandakripa.comm/2015/07/shrihanuman-chalisa.html