to fir doosron me thodi bahut kamiyon ko dekhkar unse ghrina kaisi kar sakta hun-
anmol vachan, Swami Vivekanand Ji
to be added…
praarthana me aseem shakti hoti hai. humein jo mila hai unhi se mila hai…yeh ehsaas lekar gad-gad bhaav se prarthana karni chahiye. yadi kabhi safalta na bhi mile to bhi hume niraash nahi hona chahiye kyunki prarthana kabhi khaali nahi jaati. Prithvi me beej daalkar jis prakaar prateeksha karni padti hai, samay paakar hi vah ankurit ho jata hai.. jab prithvi apne garbh me beej nahi rakhti tab kripalu bhagwaan bhala bhakt ki arzi kaise rakh sakte hain.
Ishwar me humein aseem vishwaas rakhna chahiye aur aisa samajhna chahiye ki bhagwaan ke kar kamlon ki chhatra chhaaya sadaiv humare sir par hai, tatha ve humara nirantar kalyaan kar rahe hain.
02-10-2013
Hume Ishwar ne do hath diye hain ,
Hamein daan dene mein jo anand aata hai wo kisi se kuch maangane mein nahi.
28-09-2013
Hume hamesha aaj me jeena chahiye. Jo ho raha hai vahi achha hai aur vahi humare haath me hai.
Jo beet gaya use hum badal nahi sakte. Isliye use sochkar dukhi hone se koi laabh nahi.
Bhavishya me kya hoga-yeh bhi humare haath me nahi. Isliye samajhdaar vahi hain jo sirf aaj me jeete hain.
25-09-2013
Satya Hi Dharm Hai…Dharm Hi Ishwar Hari
ishwar me hume aseem vishwaas rakhna chahiye tathaa aisa samajhna chahiye ki bhagwaan ke varad kar-kamlon ki chhatra chhaaya sadaiv humare sir par hai tatha ve humara nirantar kalyaan kar rahe hain…