Ek baar Shri Krishna ko RadhaRani ki pariksha lene ki ichha hui. To unhone apna bhes badal ek gwalin ka roop banaya aur Barsane, jahan Radharani rehti thi, chale gaye. Jab Radharani ne us gwaalin ko dekha, to vah atyant prasann ho uthin. Unke man ke harsh ka karan yeh tha ki us gwalin me unhe shri Krishna ki chhavi dikh rahi thi. Unhe laga ki shri Krishna se milti chhavi wali ye gwalin avashya Vrindawan se ayi unki koi behan ya sambandhi hongi.
Radharani ne us gwalin se kaha “behen!tum atyant sunder ho! tumhara roop dekhkar to chandrama aur surya bhi sharma jaen. Tumhare prati mere man me apaar shradhha ho rahi hai. mera man atyant anandit ho raha hai. Tum mere Shyam Sunder si dikhti ho!”
Gwalin ka bhes dhare Shri Krishna bole “Tum Radha ho na? Maine tumhare saundarya aur gunon ke baare me bohot suna hai, isliye milne ki ichha hui aur mai swayam hi yahan khichi chali ayi. Tumhare darshan se mere man ko apaar shanti ki anubhooti hui hai”. Itna keh kar vo udaas ho gaye.
Radharani unki udaasi dekhkar boli”behen! aisi kya baat hui ki tum udaas ho gyi?”
ShriKrishna ne kaha “behen!ek din mai dahi bechne ja raahi thi ki raste me braj ke chhore Krishna ne mere sath chhal kiya. Usne meri matki fod daali aur mujhse maafi bhi nahi maangi. Usne apne gwal mitron ke sang mil ke meri bohot hasi udai. Jaati ka to gwala hai, upar se rang kaala hai, aur itna abhimaani! aur tum ho ki uski prashansa karti ho, uski chhavi se anandit hoti ho.usse prem karti ho jabki vo to tumhare yogya bhi nahi!”
Aise vachan sun Radharani boli “aise vachan na bolo sakhi. Mai unke baare me aise shabd nahi sun sakti. Tumhare dhanya bhaag ki unhone tumhari matki fodi, is bahane unhone tumhe darshan diye aur tumpar kripa barsai. unke mangal darshanon ke liye to sabhi devta bhi taraste hain. Tum gwalon ko chhota samajhti ho jabki unke jaisa koi dhanya nahin, jo tan man se shri Krishna ki sewa me lage rehte hain aur unke sath van me dhenu charaate hain. Sakhi tumne unhe kala kaha, unke shyam rang ke samaksh to gaiyya bhi apna gaur rang bhul jaati hai. Vo hi mere praan dhan hai, mere sarvasva hain.”
Radharani ke alaukik prem ko darshate shabdon ko sun shriKrishna apne vastavik roop me aa gaye aur apni priya ka naam lekar unhe pukaara “Radhe!” Radherani ne jaise hi apne Shyam Sunder ko apne sameep paaya, vo bhaav vibhor hokar apne priyevar ke hriday se jaa lagin.
Jai Jai Shri Radhe !
बहुत सुन्दर कहानी 👌🏻