Om Naagendraharaay Trilochanaay bhasmaanga raagaay Maheshwaraay
Nityaay Shudhhaay Digambaraay tasmay naakaaraay Namah Shivaay
Jiske kanth me saampon ka haar hai, jiske teen netra hain,
bhasma hi jiska angaraag hai (anulepan hai), dishaayen hi jiska vastra hai
Un shudh avinaashi maheshwar ko namaskaar hai
Mandaakini salil chandan charchitaya nandishwar pramath naath maheshwaraya
Mandaarpushpa bahupushpa supujitaaya tasmay ma kaaray namah shivay
Gangaajal aur chandan se jiska pujan hua hai, mandaar pushpa tatha anyanya kusmo se
jinki sundar puja hui hai un nandi ke adhipati (swami) pratham ganon ke swami, maheshwar,
ma kaar swarup shiv ko namaskaar hai.
Shivaay gauri vadanabja brind suryay dakshadhwar naashakaay
Shree neelkanthaya brishdhwajaya tasmay shikaaray namah shivay
Jo kalyaan swaroop hain paarwati ji ke mukhkamal ko viksit (prasann) karne ke liye
Jo surya swaroop hain, Jo daksh ke yagya ka naash karne waale hain, Jinki Dhwaja me Bail ka chinha hai
un shobhashaali neelkanth shi kaar swaroop Shiv ko namaskaar hai
Vashishtha kumbhodhav Gautamaarya Munindra devaarchit shekharaay
Chandraarka Vaishwaanarlochanaay Tasmay Ya Kaaray Namah Shivaay
Vashishtha Agatsya aur Gautam aadi shreshtha muniyon ne tatha indra aadi devtaon ne
jinke mastak ki puja ki hai, chandrama surya aur agni jinke netra hain, un va kaar swaroop shiv ko namaskaar hai
Yaksh Swaroopay jataadharaay Pinaakhastaay sanaatanaay divyaay devaay digambaraay tasmay
ya kaaray namay shivay
Jinhone yaksh roop dhaaran kiya hai, jo jataadhaari hain, jinke hasth me pinaak hai
jo divya sanaatan purush hain, un digambar dev, ya kaar swaroop shiv ko namaskaar hai
Panchaakshar midam punyam yah pathechhiv sannidhau, shivlokam vaapnoti shiven sah modate…
Jo shiv ke sameep is pavitra panchaakshar ka paath karta hai vah shivlok ko prapta karta hai aur vahan shivji ke saath anandit hota hai