Ye katha un dino ki hai, jab Bharat me Mughal Samrat Akbar ka shaasan tha. Mata ka ek param bhakt Dhyanu, apne sang sahit Jwala Maa ke darshan ke liye ja raha tha. Itna bada sangh dekh kar Akbar ke sipahiyon ne Chandni Chowk me unhe rok liya aur Badshah ke darbar me le ja ke pesh kiya. Badhah ne Dhyanu bhakt se puchha “Itne logon ke sath tum kahan aur kyun ja rahe ho?”
Dhyanu ne hath jod uttar diya “hum log Mata ke bhakt hain aur Jwala Mai Shaktipeeth ke darshan ko ja rahe hain”. Akbar ne Devi maa ka virodh karte hue kaha “Ye Devi Mai kaun hai aur unke darbar ja ke kya hoga?”Bhakt Dhyanu ne kaha “Jwala Mai sansar ki rachna evam palan karne wali mata hain. apne bhakton par sadaiv unki kripa rehti hai tatha sachhe man se ki gyi prarthana vo sweekar karti hain aur unki manokamna puri karti hain”. Akbar ne kaha”hum yakeen kaise karen? Tum bhakt ho to apni maa se keh kar koi chamatkaar dikhao.”
Dhyanu ne kaha “hum mata ke tuchh sevak hain aur bhala hum kya chamatkaar dikha sakte hain?” ye sunkar Akbar ko krodh aa gaya aur usne sangh ke pas jo ghode the unme se ek ki gardan katwa di, aur kaha “apni ma se kaho ki ghode ki gardan ko jod, use wapas jeevit kar den. Hum unka chamatkar dekhna chahte hain.”
Bhakt Dhyanu ne Badshah se kaha “Maharaj! ek maah tak ap mere ghode ke dhad ko sir samet surakshit rakh den.” Ek mahine ki mohlat lekar, usne Ma ke darbaar jaane ki anumati bhi li. Dhyanu apne sathiyon sahit Maa Jwala ke darbaar pohcha. Snan pujan karne ke upraant, raat bhar maa ke mandir me jagran kiya. Pratah kaal arti ke samay hath jod Dhyanu ne man se prarthna ki “Hey maiya! ap antaryami hain. Badshah meri bhakti ki pareeksha le rahe hain. Meri laaj rakho maa aur mere ghode ko apni kripa se jeevit kar do. Anyatha mai bhi apna sheesh kaat apke charno me chadha dunga kyunki mai lajjit hokar jeena nahi chahta.
Thodi der tak maun re ke maa ke taraf dekhta raha, fir usne apna sheesh kaat kar Devi Maa ke charno me chadha diya. Usi samay Maa prakat huin aur bhakt ka sheesh dhadh se jud gaya. Maa ne kaha “Putra! tumhare ghode ko bhi maine jeevit kar diya hai. aur kuch ichha hai to vardaan maang lo”.
Bhakt Dhyanu ne kaha “Maa!aap jagat mata hain. apne bhakt ki itni kathin pariksha na len. har bhakt apko apne sheesh ka bhent nahi de sakta, isliye bhent ke liye kuch anya vastu ko ap sweekar karne ki kripa karen”. Maa ne kaha ” mai abse sheesh ke sthan par nariyal ka bhent tatha sache man se ki prarthana dwara hi bhakt ki manokamna puri karungi.” Yeh kehkar Maiya antardhyan ho gyin.
Idhar Badshah Akbar ghode ko jeevit dekh kar hairan tha. Usne apne kuch sipahiyon ko is chmatkar ke raaz ka pata karne ke liye Jwala Ji bheja. Vapas laut kar unke sipahiyon ne bataya ki zameen ke andar se roshni ki lapten nikal rahi hain. yadi ap hukm den to band karva den. Akbar ne sweekriti de di. Shahi sipahiyon ne sarva pratham Mata ki pavitra jyoti par lohe ke mote mote tave rakhva diye, parantu divya jyoti tava faad kar upar nikal ayin. iske pashchaat pani ke jharne se lagatar divya jyot ko bujhane ki cheshta ki gyi. Fir bhi jyot ka prakash kam na hua. haar kar shaahi sipahiyon ne badshah ko khabar di ki unki sari koshishen naakaam ho gyin aur Jyot abhi bhi jal rahi hai. ab ap jo theek samjhen karen.
Is samachaar ko pakar, Akbar ne darbar ke vidwan brahmano se salaah ki. Brahmano ne unhe khud jakar Maa ke chamatkaar ko mehsoos karne ka tatha Devi maa ko bhent chadhake prasann karne ka sujhaav diya. Akbar bhent ke roop me sawa man sone ka chhhatra leke Ma Jwala ke darbar nange paon pahuncha. Maa ki divya jyoti ke darshan kiye aur shraddha se Maa ke charno me apna mastak jhuka kar naman kiya. apne kiye par pashchataap use ho raha tha. sone ke chhatra ko chadhaane ki taiyyari hone lagi. parantu chhatra girkar toot gaya. kaha jata hai ki vo chhatra sone ka na raha, kisi vichitra dhaatu ka ban gaya, jo na to loha tha, na peetal, tamba aur na sheesha hi tha. Devi maa ne bhent ko asweekaar kar diya. Akbar ne Mata se shama ki bheek mangi. Badhshah dwara chadhaya gaya vah khandit chhatra, Jwala Mai ke darbaar me aj bhi rakha hua dekha ja sakta hai.
Boliye prem se….Sanche darbaar ki Jai. Jwala Mai ki jai.
thanks for this post 🙂