Treta yug me jab Prithvi par Ravan, Khardushan,Trishira, Taadka adi rakshason ne ghor atyachar kar sadhu santon ka havan-yagya-pujan karna band karva diya tha, charon or aasuri pravrittiyan failne lagin, us samay Maa Bhagwati Maha Kali, Maha Lakshmi tatha Maha Saraswati ne Dharm raksha ke liye apne sammilit tej se ek divya shakti ko janm dene ka nishchay kiya aur ye sammilit tej punj ekatrit hokar ek divya baalika ke roop me prakat ho gyin, jinka naam Vaishnavi rakha gya.
Kanya Vaishnavi ne un teeno Maha Shaktiyon se puchha “mai kaun hun tatha mujhe kis hetu aap logon ne prakat kiya hai?” Deviyon ne kaha “humne tumhe Prithvi par Dharm ki raksha ke liye Prakat kiya hai. Isliye tum ab Dakshin Bharat me Ratnakar Sagar ke ghar prakat ho jao. Vahan tumhe aage chalkar Vishnu ke avtaar Ramchandra ji ke darshan honge.”
Is ghatna ke kuch samay pashchat hi us kanya ne Ratnakar Sagar ke ghar janm liya, aur uska naam Vaishnavi rakha gaya. Vaishnavi apni chhoti si ayu me hi apne alaukik shaktiyon se logon ko prabhavit karne lag. Kuch hi dino me kanya ki prasiddhi door door tak hone lagi. Vaishnavi jab kuch badi hui to usne apne pita ke agya se samudra tat par kuti bana tapasya karni shuru kar di. Tapasya me leen reh kar Shri Ram ji ka dhyan aur smaran karti rehti thi. Unki ghor tapasya dekh kar Surya Dev ne divya kamandal bhent kiya.
Jab Vishnu Bhagwan ne Ayodhya me Dashrath putra Ram ke roop me avtaar liya, aur pita ki agya se chaudah varshon ke liye vanvaasi hue, us samay vo kanya samudra tat par samadhi me reh tapasya kar rahi thi, aur Ramji ke ane ki prateeksha kar rahi thi. Ravan ke dwara Sita ji ka haran ho jane par, Ram ji apne vanar sena ke sath samudra tat par pohche, tab unhone tapasya me leen divya kanya ko vahan dekha. Prabhu ShriRam divya kanya ki kuti me gaye. Kutiya me pohochne se kanya Vaishnavi ki samaadhi toot gyi aur unhone Ramchandra ji ko apne samne dekha. Unhe dekhkar vo prasann hui.
Kanya Vaishnavi ne vidhivat satkaar kar Prabhu ki stuti ki. Prabhu ne Vaishnavi se unka parichay aur tapasya ka karan pucha. Unhone uttar me kaha “Mai Ratnakar Sagar ki putri hun aur apko apne pati roop me pane hetu tapasya kar rahi hun.” Yah sun Prabhu Shri Ram ne kaha “Is yug me maine ek-patnivrat hone ka sankalp liya hai. Devi apko apni tapasya ka fal prapt hoga jab mai Ravan ka vadh karne ke pashchaat apki kutiya me vesh badal kar aunga aur us vakt yadi apne mujhe pehchaan liya to mai apko patni roop me sweekar kar lunga”.
Is tarah Lanka par vijay prapt kar Ayodhya lautate samay, Prabhu ShriRam ek vridh sadhu ka vesh banakar Vaishnavi ki kutiya me gye.Parantu Devi Vaishnavi unhe pehchaan na payin. Prabhu ne unse kaha “mere vachan-anusaar tum mujhe vridh sadhu ke vesh me nahi pehchaan payi. Par tumhari tapasya ka fal tumhe Kalyug ke ant me milega, jab mai Kalki avtaar lunga aur tumhe apni patni ke roop me sweekar karunga. Tab tak tum uttar Bharat ke Manik Parvat shrinkhala par sthit Trikoot Parvat ki gufa me, jahan teen Mahashaktiyon ka nivaas hai, jakar tapasya karo. Hanumanji vahan tumhare prahari honge. Samast bhumandal par tumhari yash tatha mahima failegi aur log tumhari Maa Vaishnvai ke roop me puja karenge.
Is tarah ye vishvas kiya jata hai ki Treta yug se teenon Mahashaktiyon ke sathMaa Vaishno Trikoot Parvat ki Gufa me saakshat virajmaan hain aur Prabhu ki prateeksha kar rahi hain.
Jai Maa Vaishno!