Yaa Devi Sarvabhooteshu, Shakti rupenn sansthitha |
Namastasya Namastasya Namastasya Namo Namah ||
Arthaat jo devi sab prakaar ke praaniyo ke shakti roop mein avtarit ho, unko mera baaram baar namaskaar hai, namaskaar hai, namaskaar hai.
Sarv shrishti ko janm dene waali akhand mandalakaar jagan maata aadi shakti paar brahma swaroop hain. Maa nirgun swaroop hain. parantu unhe kisi bhi roop mein samay samay par dharam ki raksha tatha dushton ke vinaash ke liye saakaar roop lena padta hai.
Isi aadi shakti ne samay samay par Paarvati, Durga , Kaali , ChanDi aadi nav avtaar dhaaran kiye hain. Brahma , Vishnu tatha Shiv ji jo kramshah shrishti nirmaan, paalaan tatha sanhaar karne waale hain. Maata aadi shakti samasva charaachaar jagat mein oorja shakti roop mein vidyamaan hain. Yeh oorja shakti ke kaaran hi tamaam grah pind ulkaayein tatha tara samooh sthir evam chalayemaan hain. Aisa kuch bhi nahi jisme maa vidyamaan nahi, aur yeh ek antim satya hai ki pratyek drishya yaa adrishya sthal , sthaan , vastu se lekar pratyek bhautik vastuon mein maa vidyaamaan hain.
Aaj vaygyaanik drishtikon se bhi dekhein to brahmaand mein apaar oorja aur shakti ki vishaal pranaali hai, jiske sahaare bhaari se bhaari kaarya, gati maan kiye jaa sakte hain. Is gatimaan jagat mein maanav bhi ek ekaai maatra hai jo ki brahmaand ki sanchaalika devi ki pratibimbit chaya se utpann hota hai. Devi ke dwara hi samasta charaachar padarthon par praano ka sanchaar hota hai tatha usi prakriya mein wo nashta bhi hota rehta hai. Atah, is nashwar sansaar mein chetna roop mein prakat hone se devi ko chitta swaroopini maana jaata hai. Vedon mein kaha jaata hai Devi Shakti amar ajanmaa aur avinaashi hain. Wohi aadi hain, wohi anth hain , wohi anant bhi hain.
Durga Sapt-Sati ke doosre adhyaay mein devi ke is swaroop ka vistrit varnan milta hai. Asuron ke atyachaar se trastha hokar devtaon ne jab Brahma ji se sahayata maangee to , Brahma ji ne kaha, ” Detyaraaj ko var prapta hai ki uski mrityu kisi kuvaari kanya ke haath se hi hogi”. Ispar sab devtaon ne upaaye swaroop sammilit hokar apne tej se devi ke is roop ko prakat kiya. Vibhinn devtaon ke deh se nikle hue tej se Devi ke vibhinn ang bane.
Bhagwan Shankar ke tej se Devi ka mukkh prakat hua, yamaraj ke tej se mastak ke kesh , Vishnu ke tej se bhujaayein, Chandrama ke tej se stan , Indra ke tej se kamar, Varun ke tej se jangha, prithvi ke tej se Nitamb, aur Brahma ke tej se dono charan , Surya ke tej se pairon ke ungliyan, Vasu ke tej se dono haath ki ungliyan, Prajapati ke tej se saare daant, Agni ke tej se dono netra, Sandhya ke tej se dono bhawein, Vaayu ke tej se kaan aur anya devtaon ke tej se devi ke bhinn bhinn ang bane.
Shivji ne us maha shakti ko apna trishul diya, Lakshmi jee ne apna kamal ka phool, Vishnu ji ne gada , Agni ne shakti, Vaayu ne Dhanush tatha baano se bhara tarkash, Yamraj ne chamatkaari danD, Kaal ne talwaar, Vishwakarma ne nirmal pharsa, Prajapati ne sphaTik maniyo ki maala, Varun ne divya shankh, Sheshnaag ne maniyo se sushobhit naag , Indra ne Vajra, Krishna ji ne apna Chakra, Varun dev ne paash, Brahma ji ne chaaron Veda, tatha Himalaya parvat ne savaari ke liye singh aur anek prakaar ke ratna pradaan kiye. Iske atirikta Samudra deva ne kabhi na maila hone wala ujwal haar tatha kabhi na phatne waale divya vastra , chooDamani, do kunDal, haathon ke kangan, pairon ke nupur , tatha angoothiyan bhet kiya. Kuber ne madira se bhara hua paatra diya. In sab vastuyon ko Devi ne dhaaran kiya. Is prakaar Maa Bhagwati ne sabhi devtaon se susamaanit ho Shakti swaroopani Durga ka roop dharaN kiya.
Navdurga Maa |
Maata ke nau (9) roopon ka Varnan
Navdurga nau prakaar kee adhyatmik shaktiyaan hain. Aadi shakti mahadevi ne dushton ke vinaash ke liye devtaon ki prarthana par nau roop dhaaran kiye. Aaj bhi Bharat ke vibhinn shaktipeethon mein nau Durgaon ki moorthiyan vidyamaan hain. Durga kee inhi nau moorthiyan , yaani nau adhyatimik shaktiyion ke vibhinn nau naam is prakaar hain.
1. Shail Putri
Shailputri ne maharaj Himalaya ki putree ke roop mein janm lekar Bhagwaan Shankar ka varan kiya aur vishwa kalyaan ke liye sarva deviyon ka maarg darshan kiya, tatha Ganesh evam Karthikeya jaise vidwaan putron kee maata bani. Inhee ke naam se pratham navraatra ka poojan aaj bhi vidhivat hota hai.
-
2. BrahmaChaariNi
Devi BrahmachaariNi ne sansaar ko pavitra vaatsalya evam prem ka sandesh diya. Navraatra ka doosra din inhi devi ke naam se poojit hota hai.
3. ChandraghanTa
Teesri devi ChandraghanTa ke roop mein prakat huin. Prithvee par nyaya neeti ki sthapana ke neeyam banaye. ChandraghanTa devi ke mastak par ardhachandrama ka chinnha ankit rehta hai. Navraatra ke teesre din inki pooja hoti hai.
4. KushmaanDa
Chauthi devi KushmaanDa ne vishwa vyavastha ka bhaar uthaya, isliye inhe rozgaar kee devi bhi kaha jaata hai. Navraatra ka chauthe din mein KushmaanDa maata ki pooja hoti hai.
5. Skandamaata
Paachvi devi Skandamaata hain. Unhone sarv char aur sthir jeevon ko sochne aur samajhne ki shakti pradaan kee hai. Navraatra ka paachva din skandamaata ke naam poojit hota hai.
6. Kaatyaayini
Chathi devi Kaatyaayini hain. Inhone anek baar dushton ka sanghaar kiya tatha saadhu aur sajjano ki prathishtha ko kaayam rakha. Navraatra ke chathe din maa Kaatyayini ki pooja hoti hai.
7. Kaalraatri
Saatvin devi Kaalraatri hain. Jinhone Kaali ka roop dhaaran kar Raktabeej jaise raakshas ka vadh kiya. Navraatra ka saatva din inhi devi ke poojan se juda hai. Raakshaso ke sanghaar ke liye Kaalraatri yaani raatri kaal mein vikat sanghaar karne ka maa ne beeda uthaya hai.
8. Mahagauri
Aathvi devi ka naam Mahagauri hai. Unki savari sher hai. Unki ashta bhujaayein hain. Unhone Durjeya raakshas ka vadh kiya. Ashtami ki raat Maa Gauri ke naame vishesh poojya hai.
9. Siddhidaatri
Naumi devi Siddhidaatri hain. Har tarah ke tantra mantra evam gyaan kautuk ki bhandaar devi Siddhidaatri ko navraatra ke naumi ko pooja jaata hai.
—————————————-