Bhagwat Geeta ke aarambh me dharm tatha ant me ‘mam’ hai . Dharm aur mam ka arth hai: ‘Dharm hi mera hai, aur sansaar me mera kuch nahi.’ Bhagwan Shri Krishna ne Geeta me kahaa hai : “Dharm-may jeevan bitao”. Isi prakaar Ramayan me Prabhu Shri Ram ne Dharm-may rath ke maadhyam se jeevan ko sdharm-may banaane ka updesh diya hai. Jab Vibheeshan Rawan ko rath par sawaar tatha Praabhu Shri Ram ji ko paidal dekh kar adheer ho gye the. Prabhu ne kahaa hai “Jis prakaar rath pahiyon ke dwaara sugamta se chalta hai, usi prakaar manushya ko apna jeewan rath Dharm ke dwara chalaana chahiye. Jis prakaar rath me sabse pehle pahiye ki zarurat hoti hai, vaise hi Jeewan-Rath ko sukhpurvak chalaane hetu sabse pehle Dharm atyant aavashyak hai. Isliye Shri Vishnu Bhagwan ke aayudhon (astra-shastra) me sabse pehle shankh ka naam liya jaata hai, kyunki shankh ‘dharm’ ka prateek hai, gadaa ‘arth’ ka, chakra ‘kaam’ ka tatha padma (kamal) ‘moksha’ ka prateek hai. Yahi dharm-arth-kaam-moksha jeewan ke chaar purushaarth hain. Isliye arth ko dharm me lagaana chahiiye, kaam ka dharmaanukool sevan karne se hi moksha ki praapti hoti hai. Aisa Shri Krishna ne Geeta me kahaa hai.
………………………………………………………………………………………………………………………………..
DHARM HI ISHWAR HAI
dharm, geeta gyan, God, god's teachings, Krishna, krishna teaching, sayings of god