Har khushi mil jaegi guru sharan aane ke baad
Kuch na bigdega tumhara charno me jhuk jaane ke baad
Prem ke manzil ke raahi kasht paate hain zaroor-2
Beej falta hai sadaa mitti me mil jaane ke baad
Har khushi mil jaegi guru…
Fool se jaakar ke poochhi chhayi hai kitni bahaar-2
Raat bhar kaaton pe soya daali par aane ke baad
Har khushi mil jaegi guru…
Dekh kar kali nisha ko ae bhanwar mat ho niraash-2
Band kaliyan fir khilegi raat dhal jaane ke baad
Har khushi mil jaegi guru…
Prem karne se kaam nirmal naam le ghanshya ka-2
Sookhi bagiya fir khilengi ritu badal jaane ke baad
Har khushi mil jaegi guru…
today at a construction site ( a small village of Narsinghpur MP) I heard this bhajan when a farmer was playing it on his mobile phone . As soon as I reached home I searched for it on google . I am thankful and feel proud of you that you wrote such a heart touching bhajan. my India still has ladies like you.
bohot bohot dhanyawad apka…!