Shri Krishna Bhagwan ne vedon me apna naam ॐ bataya hai. Unhone kaha hai ॐ ka jap karne se manushya jeewan mukt hokar Shri Krishna me samaahit ho jaata hai. Sant gyaani satat ॐ ka sumiran karte rehte hain. ॐ ka varnan swayam Shivji, Brahmaji aur Vishnu ji (Tridev) ne bhi kiya hai.
“Ati uttam paawan param durlabh pad nirvaan…ॐ upaasak sahaj me paye Ved pramaan
Geeta me kaha krishna ne ॐ humara naam…Yahi Bhaagwat me param sumirau hou akaam”
Hari ॐ tat-sat…Hari ॐ tat-sat…mahaa mantra hai yah…re mann…tu japaakar….japaakar.
‘Hari’ milan ko ‘Hari’ gaye ‘Hari’ baithe ‘Hari’ paas
Jab ‘Hari’ ‘Hari’ me mil gaye tab ‘Hari’ bhaye udaas
As recited by my Father-in-Law Lt. Shri Nagendra Prasad. (His everyday prayer for Hari Vishnu)