Maa saacha tera dwar hai Jo bhav se taraata hai Bhoole bhatke rahi ko Raah dikhata hai Maa saacha tera dwaar hai…jo bhav se taraata hai Dwaare pe inke ao Jai Jai bulaane Bhakto maiya ji ke Darshan paane Manwaanchhit fal maa se mil jaata hai Maa saacha tera dwar hai…jo bhav se taraata hai…
Krishana Govind Gopal Gaate Chalo .
Krishna Govind Gopal gaate chalo Man ko vishayon ke vish se bachate chalo Dekhna indriyon ke na ghode bhage Raat din inme saiyyam ke kode lage Apne rath ko sumarg par chalaate chalo Krishna Gobind Gopal gaate chalo Naam japte raho karm karte raho Paap ki vaasnaon se darte raho Naam dhan ka khajaana bhadate…
Chalo Banke Bihari Ke Chaliye Sharan.
Chalo Banke Bihari ke chaliye Sharan Chalo Kunj Bihari ke chaliye Sharan Sheesh sohe mukut kaan kundal sohe Roop sunder suhana hai shyamal varan Yahi raja dhiraja hain sansar ke Chandra Surya chalen nit unke daran Yehi jal me hain thal me hain sab me yehi Yehi karte hain jeevon ka taaran taran Pyari pyari…
Vaishno Devi ki Katha
Treta yug me jab Prithvi par Ravan, Khardushan,Trishira, Taadka adi rakshason ne ghor atyachar kar sadhu santon ka havan-yagya-pujan karna band karva diya tha, charon or aasuri pravrittiyan failne lagin, us samay Maa Bhagwati Maha Kali, Maha Lakshmi tatha Maha Saraswati ne Dharm raksha ke liye apne sammilit tej se ek divya shakti ko janm…
Mata ko nariyal ka bhent [why is coconut offered to God]
Ye katha un dino ki hai, jab Bharat me Mughal Samrat Akbar ka shaasan tha. Mata ka ek param bhakt Dhyanu, apne sang sahit Jwala Maa ke darshan ke liye ja raha tha. Itna bada sangh dekh kar Akbar ke sipahiyon ne Chandni Chowk me unhe rok liya aur Badshah ke darbar me le ja…
Radha Krishna Vivah Katha
Dwapar yug me Bhagwati Radha aur Bhagwan Shri Krishna ka gathbandhan vasant panchmi ko hua tha, par kalyug me bhi yahi tithi ShriRadha-Shyamsunder ke milan ki sakshi bani. Is kathanak ka saar sanshep yeh hai ki 16vin shataabdi me Paschchim Bengal ke Medinipur Jile ke Dhaarenda gaon me janme Krishnadas apne guru se deeksha praapt…
Yashoda Hari paalne Jhulave Ri – Shri Krishna Lori
Maiyaa Yashoda apne Kanhaiya ko sula rahin hain, parantu natkhat Kanhaiya ko nind nahi aa rahi hai, isliye Yashoda ji tarah tarah se jatan karti hain, kabhi thapki deti hain, toh kabhi lori sunati hain, kabhi Kanhaiya ko dikhane ke liye swayam sone ka abhinaye karti hain, jisse Kanhaiya so jaye ,lekin Kanhaiya kabhi…
Maa Durga ke 108 naam (Maa Durga’s 108 names)
Sati Saadhwi Bhavpreeta Bhavani Bhavmochini Arya Durga Jaya Aadya Trinetra Shooldhaarini Pinaakdhaarini Chitra ChandhraghanTa Mahatapa Mann Buddhi Ahankaara Chittaroopa Chitaa Chitii Sarvamantramayee Satta Satyaanandswaroopini Anantaa Bhaavini Bhaavya Bhavya Abhavya Sadaagati Shaambhavi Devamaata Chinta Ratnapriyasada Sarvavidya Dakshakanya Dakshayagyavinaashini Aparna AnekvarNaa PaaTla PaaTlavanti PaTTaambarpareedhaana Kalmanjeer-Ranjini Ameyavikramaa Kroora Sundari Sursundari Vandurga Maatangee Matangamunipoojita Brahmee Maaheshwari Ayndree Kawmaaree Vaishanavi…
Navdurga aur unki Shaktiyaan [Understanding Nine days of Navratri]
Yaa Devi Sarvabhooteshu, Shakti rupenn sansthitha | Namastasya Namastasya Namastasya Namo Namah || Arthaat jo devi sab prakaar ke praaniyo ke shakti roop mein avtarit ho, unko mera baaram baar namaskaar hai, namaskaar hai, namaskaar hai. Sarv shrishti ko janm dene waali akhand mandalakaar jagan maata aadi shakti paar brahma swaroop hain. Maa nirgun swaroop…
Sharan Me Aaye (bhajan)
Sharan me aaye hain… hum tumhaare Dayaa karo hey…dayaalu bhagwan Jo tum pita ho, to hum hain baalak Jo tum ho swaami, to hum hain sewak Jo tum ho thaakur, to hum pujari Jo tum ho daata, to hum bhikhari Tumhaare hokar hain hum bhikhari Dayaa karo hey…dayaalu bhagwan Naa hum me bal hai, na…