Dwapar yug me Bhagwati Radha aur Bhagwan Shri Krishna ka gathbandhan vasant panchmi ko hua tha, par kalyug me bhi yahi tithi ShriRadha-Shyamsunder ke milan ki sakshi bani. Is kathanak ka saar sanshep yeh hai ki 16vin shataabdi me Paschchim Bengal ke Medinipur Jile ke Dhaarenda gaon me janme Krishnadas apne guru se deeksha praapt karne ke baad Vrindavan jakar vahin rehne lage.
Ek roz Shri Radha-Krishna ki nitya raas sthali ke safai ke dauraan, unhe durlabh ratnon se jadit ek nupur mila. Krishnadas ji ko aisa laga ki yeh alaukik nupur Bhagwati Radharani ka hai. Radharani ko jab yeh baad maloom hui, to unhone apni sakhi Lalita ko vah nupur laane ko bheja. Lalita ji vridh Brahmani ka vesh dhar ke Krishndas ji ke sameep aain aur unhone nupur lautaane ka agrah kiya.
Krishnadas ne kaha “Mai yeh nupur seedhe uski swamini ko hi saupunga”. Darasal veh Bhagwati Radha ke darshanon ke liye aatur the. Fir Radhaji ne unki ichha purti ka nirnay liya. Radharani ke nirdesh par Lalita ji ne Krishnadas ko Radha mantra pradaan karke unhe Radha kund me snaan karvaya. Isse krishnadas ji ko Radharani ke darshan ki patrata praapt ho gayi, lekin darshan ke baad Bhagwati Radha se viraah ki kalpana karte hi Krishnadas ka man dukhi ho gaya.
Radhaji ne unhe saantwana dene ke liye apne hriday se Shree Shayamsunder ka shrivgrah prakat karke Lalita ji ke maadhyam se Krishnadas ji ko saunp diya. Prabhu ke is vigrah ka avirbhaav 1578 me vasant panchmi ko hua tha. Iske baad 1580 me Bharatpur riyasat ke tatkaleen raja ne apne khazane me prakatit Shyama (Radharani) ke shrivigrah ka vivah Vasant panchmi ke shubh muhurat me Vrindavan jakar Shri Shyamsunder ji ke saath karva diya. Unhone vahin par Shri Radha-Shyamsunder ke liye ek vishal mandir ka bhi nirmaan karaya.
Shri Krishnadas ke mahaprayan ke baad unke parampriya shishya Shreersikanand ne Shyama-Shyamsunder ki sewa ki. Vigat char shatabdiyon se Shreersikanand prabhu ke vanshaj Laal-lali (Shyam sunder-Radharani) ki puja-sewa tatha mandr ki vyavastha karte chale aa rahe hain. Pratyek varsh vasant panchmi ke din Shri Shyamsunder dev ka avirbhaavotsav tatha Shri Radha-Shyamsunder ka Vivahotsav atyant bhavya roop se manaya jaata hai. Isme asankhya shraddhaalu sammilit hote hain. Isliye Vasant Panchmi Shyamsunder Panchmi ke naam se prasidh ho gyi.
(Article by Sandhya Tandon, Jagran sakhi, February 2014)