Bharat ji yadyapi Ramji ke chhote bhai the, kintu Ramji ko hamesha apna aaradhya maante the. Ramji ke prati unka ananya prem tha, Swabhaav se sankochi hone ke kaaran unka ye prem hriday ki gehraiyon me chhipa rehta tha. Lakshman ji praayah shri Ramji ke prati prem tatha bhakti prakat kar dete the kintu Bharat swayam shri Ramji ke samaan roop-rang hone ke kaaraan unke sammukh jaakar baat karne me bhi sankoch mehsoos karte the. Bharat ji ko prem yogi bhi kaha jaata hai. Ve hamesha apne aaradhya ke chintan me leen rehte the. Samast saansarik kaamnaon ko tyaagkar keval Prabhu prem ki hi kaamna unke man me rehti thi.
Chitrakoot me Bharat ji ke aagaman ka samaachar Lakshman ji ko milta hai. Ve Bharat ji ke aacharan par shanka prakat karte hue Ramji ke samaksh Bharat ji ke liye krodhpurna vachan kehte hain. Ramji Bharat ji ke swabhaav se poorntaya parichit hain. Vo Lakshman ko samjhaate hue spasht kehte hain ki Bharaat ko Brahma Vishnu Mahesh ka pad bhi praapt ho jaye to bhi unhe ahankaar nahi ho sakta. Fir ye Ayodhya ka Rajya kya chees hai.
Prabhu Shri Ram jab mata Kaikayi ke vachano ko maankar Bharat ji ki anupasthiti me bhai Lakshman tatha patni Janki ji ke sath van ko jaate hain aur is aaghaat ko Maharaj Dashrath sahan nahi kar paate hain aur ve praan tyaag kar dete hain. Guru Vashishth doot bhejkar nanihaal se Bharatji ko bulwaate hain. Ayodhya lautne par mata Kaikayi unhe Ayodhya me chal rahi paristhiti se avgat karaati hain. Pehle to mata ko dhikkaarte hain kintu jaise hi unhe ye vichaar aata hai ki saare anarth ki jad ve swayam hain to atyant glaani se bhar uthte hain tatha mata ko dosh dene ke sthaan par swayam ko doshi samajhne lagte hain. Fir man ki vyatha man hi rakhkar shaanti purvak pita ka vidhi vidhaan se antim sanskaar karte hain. Tat pashchaat Guru Vashishth unhe Rajya bhaar graha karne ke liye samjhaate hain.
Bharaat ji raaj singhaasan tatha sampadaa ko Ramji ki sampatti maante hue vinamrata purvak aswikaar kar dete hain. Nishchay hi prem yogi Bharat ji ke liye raaj pad ka koi mahatva nahi. Ram bhakti tatha prem ke samne chaaron purushaarth bhi unhe tuchh lagte hain. Vo hamesha Ishwar se yahi praarthana karte hi ki janm janmaantar unka prem Prabhu Shriram ji ke charno me banaa rahe. Bharat ji Guru ji se vihval hokar Ramji ke darshan ki ichha prakat karte hain taaki unhe Ayodhya kar Rajya saunp saken. Vo apne ko Prabhu ka sevak samajhte hain tatha Ramji ko Ayodhya ka Swami. Isi sevak dharm ka anusaran karte hue Prabhu ki anupasthiti me Ayodhya tatha Ayodhya ki sampatti ki suraksha ki vyavastha karte hain.
Van gaman ke maarg me Bharat ji paidal chalte hain. Unhe khayal aata hai ki Prabhu bhi maata Janki ke sath paidal hi gaye honge. Jahan jahan Ramji Sitaji ne vishraam kiya tha, vahan vahan bhaav vihval ho saashtaang pranaam karte hain. Nishaadraaj ko gale se lagaate hain, kyunki unhe pata tha ki Ramji ne bhi unhe gale se lagaya tha. Is alingan me unhe Ramji ka sparsh sukh ka anubhav hota hai. Bharat ji ki aisi prem vihvalta dekh kar Bharadwaj Rishi kehte hain
“Tum to Bharat Mor mat ehu…Dhare deh janu Ram sanehu”
Bharat ji ka Shri Ramji ke prati agaadh prem aur bhakti dekhkar Maharishi Vashishth dravit ho jaate hain aur Ramji se kehte hain:
“Bharat ki ruchi rakhkar jo bhi kiya jaaye shubh hi hoga.”
Swayam Shivji Mata Parvati se kehte hain:
“More jaan Bharat ruchi raakhi…jo kijiye so shubh shiv saakhi”
Dharm rakshak Maryada Purushottam Prabhu Shriraam bhi apne ananya premi bhai ke aage jaise vivash ho jaate hain ki pita ke vachan ki raksha ya Bharat ji ke aagrah par raajsinghasan. Dono me se kya chune?
Parantu Bharatji apne Prabhu ko sankoch me nahi daal sakte the isliye unhone raaj singhasan par Shri Ram ki charaan paaduka ko viraajmaan karne ka nirnay le liya aur charan paaduka lekar Ayodhya laut aye. Ayodhya aakar Shri Ram ki charan paduka ko raajsinghasan par rakhkar, unki aagya lekar, Bharatji tab tak Rajya k sanchaalan karte rahe jab tak ki Prabhu punah Ayodhya laut nahi aaye.