Praarthana premopasana ki sarvottam vidhi hai Antah kaaran se saprem nivedan, stuti hi sachi prarthana hai jiske maadhyam se Bhagwaan tak (jo Bhaav-vash hain) pohcha ja sakta hai. Prarthana me aartata (kaarunik pukaar) aavashyak hai. Yah aartata hi vyakti ko bhagwaan ka kripa paatra banaati hai. Jiski karun-kaatar pukaar sunkar ve apne ko rok nahi paate hain.
Draupadi ki akhand vishwaas bhari guhaar ki “Hey Madhusudan! Kans-Nikandan! Nand-Nandan! Haro dukh bhaari. Hun sharnaagat, jeevan jeev niraash sabhi se hui banwaari.” Jaise hi Prabhu Shri Krishna ke kaano me padi, vaise hi unka Vastraavataar hua. Pal me cheer badhaa Krishna Muraari ne unpar kripa ki.
Aise bhakt-vatsal Prabhu ke charnon me hume nirantaar bhakti-rat rehna chahiye.
Vishwesh tumhi, dhyey tumhi ho, sansaar sagar me yahaan
Ek tumko bhoolkar fir Moksh Praapya fir bhala kahan
Vaani humari Prabhu aapke gungaan nitya kiya kare
aapke charnaarvind me man chanchareek raha kare
aap bhakton ki vipatti door kshan bhar me karen
aapki shubh moortiyon ka nitya darshan hum karen
Hey Bhakt-Bhay haarin Prabho! Hey Yog-Chit Chaarin Prabho!
Karte rahen in sat-karmon se nitya aapka vandan Prabho
(Resource: Kalyaan)
————————————————————————————————————